Tuesday, August 16, 2011

Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte urdu Lyrics

Haqeeqat Mein Woh Lutf e Zindagi Lyrics

Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte
Jo yaad e Mustafa se dil ko behlaya nahin kartay.

Zaban per shikwae ranj o alam laya nahin karte
Nabi kay naam lewa gham say ghabraya nahin karte.

Yeh darbaar e Mohammad hai yahan apnoon ka kiya kehna
Yahaan se hath khali gheir bhi jaya nehi karte.

Are o na samaj qurbaan hoja Inke roze par
Yeh lamhe zindagi me baar baar aya nehin karte.

Yeh he darbaar e Muhammed hai yahaan milta hei bemange
Are nadan yahaan daman ko phelaya nehi karte.

Madinay jo bhi jata hai, woh jholi bhar kay lata hai
Sakhi data hain khali haath lotaya nahin kertay.

Mohammad Mustafa key bagh key sabh phool aise hain
Jo bepani ke tar rehte hain murjaya nahi karte.

Nadamat sath le kar hashr mein ae aasio jana
Suna hei sharm waloon ko woh sharmaya nehi karte.

Jo unke damaan e rehmet say wabasta hai ae Hamid,
Kisi kay samnay woh haath phelaya nehi karte.

Mohammad Mustafa ki shaan e rehmet to zarah dekho,
Sittam sehte to hain lekin sittam daya nehi karte.

Aggar ho jazba e sadiq to aksar humne dekha he,
Woh khud tashreef le ate hain tarpaya nehi karte.

Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte,
Jo yaad e Mustafa se dil ko garmaya nehi karte.

Naat Information

Naat Khawan: Mohammad Mushtaq Qadri

Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai urdu Lyrics

Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai Lyrics

Ilahi madad kar, madad ki ghari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.

Mere tan pay ghaflat ki chaadar pari hai,
Nahoosat gunaahon ki chaei hui hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Yahi baat hum nay barhon say suni hai,
Na ho banagi gar to kia zindagi hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Ae abr-e-karam aa baras ja, baras ja,
Baras ja, baras ja, baras ja, baras ja,
Ajab aag isyaan ki mujh mein lagi hai,
Gunahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Nahi pass husn-e-amal meray Mola,
Nazar meri tere karam per lagi hai,
Gunahoon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Ubaid-e-Raza naikyon say hai khali,
Gunaahon mein hasil ise bartari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Lab-e-Mustafa say khudaya suna day,
Ubaid-e-Raza naar se tu bari hai

Elahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.

Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,

Madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai.

Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho Lyrics with English Translation:

Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho Lyrics with English Translation:

Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho,
Jub Pare Mushkil Sha’e Mushkil Kusha Ka Saath Ho.

O Allah ! In every instance let me be blessed by Your Bounties,
When I am in calamity, Let me be with the Eradicator of all calamities.

Ya Ilaahi Bhool Jaun Naza’Ki Takleef Ko,
Shaadiye deedare Husne Mustafa Ka Saath Ho.

O Allah ! Let me not remember the difficulties of Death,
When Blessed by the happiness of seeing the Holy Prophet.

Ya Ilaahi Gor Teera Ki Jab Aaey Sakht Raat,
Unke Pyaare Moonh Ki Subha Jaa Fiza Ka Saath Ho.

O Allah ! When the night of darkness in the grave finally comes,
Let it be brightened by the Prophet, Blessed Face which gives hope.

Ya Ilaah Garmi-e-Mahshar Seh Jub Bharke Badan,
Daaman-e-Mahboob Ki Thandi Hawaa Ka Saath Ho.

O Allah ! When our bodies burn up in the heat of the Day of Reckoning,
Let us be in the cool breeze from the Daaman of the Prophet.

Ya Ilaahi Nama-e-A’maal Jub Khulne Lagay,
Aib-e-Pooshe Khalq Sat’taare Khata Ka Saath Ho.

O Allah ! When the books of our deeds are opened,
Let the sins of the servants be hidden by the One who conceals our shortcomings.

Ya Ilaahi Rang Laayein Jab Meri Be Baaqiyaan,
Unki Neechi Nichi Nazroon Ki Hayaa Ka Saatho Ho.

O Allah ! When my daring actions are unveiled (before all),
Let me be with the modesty of the Lowered Gaze of the Beloved Prophet.

Ya Ilaahi Jub Zabaane Baahar Aayey Pyaas Say,
Saahib-e-Kauthar Sha’e Jood-o-ataa Ka Saath Ho.

O Allah ! When our tounges hang in immense thirst,
Let us be blessed by the Distributor of Kauthar & The Generous King.

Ya Ilaahi Jub Chalo Tareekh Raahe Pul Siraate,
Aftaab-e-Haashmi Noorul Huda Ka Saath Ho.

O Allah ! When We Walk over the Dark Bridge of Pul Siraat,
Let us be with the guiding Light of the Prophet.

Ya Ilaahi Jub Sare Shamsheer Par Chalna Pare,
“Rabbe Sallim” Kehne Waale Ghamzudah Ka Saath Ho.

O Allah ! When we have to walk on the sword like path,
Bless us as the one who removes grief says ”O Allah Allow Them Safe Passage”.

Ya Ilaahi Jo Dua’e Nek Hum Tujhe Se Kare,
Qudsiyo Ke Lub Se Aameen Rab’bana Ka Saath Ho.

O Allah ! For all the Good things which we invoke You,
Allow the Angels to say, “Aameen O Allah” for whatever we ask.

Ya Ilaahi Jub Raza Khaab-e-Giraa Se Sar Uthaa’e,
Daulat-e-Bedaar Ishk-e-Mustafa Ka Saath Ho.

O Allah ! When Raza raises his head from his precious sleep,
Let him be given the Gift of awakening in the love of the Beloved Prophet.

Other Verses from this Naat:

Ya Ilaahi Sard-e-Mehri Par Ho Jab Khurshid-e-Hashr,
Sayyad-e-Besaaya Ke Zille-e-Liwaa Ka Saath Ho.

O Allah ! When the Hot Sun is over our heads on the day of Reckoning,
Let us be under the shade of the Banner of the Shadowless Master.

Ya Ilaahi Jub Pare Mahshar Mein Shore Daar-o-Geer,
Aman Denay Waale Pyaare Peshwa Ka Saath Ho.

O Allah ! In the Hereafter when there will be total pandemonium,
Let Me Be With Our Leader, The Granter of Salvation.

Ya Ilaahi Jub Bahe Aankhe Hisaab-e-Jurm Me,
Un Tabassum rez-e-honto ki Dua ka Saath Ho.

O Allah ! When our eyes tear in accountabililty of our sins,
Let us be blessed with prayers from his sweet smiling lips.

Ya Ilaahi Jub Hisaabe Khanda-e-Bejaa Rulaaye,
Chashme Giryaane Shafi-e-Murtaja Ka Saath Ho.

O Allah ! When the Accountability causes us to cry in vain,
Let us be blessed with the Intercession of our Master who tears for us.

Ya Ilaahi Le Chale Jub Dafan Karne Qabar Me,
Ghause-e-Azam Peshwa’e Awliya Ka Saath Ho.

O Allah ! When I am taken towards my grave for my burial,
Let Ghaus-e-Azam the Leader of the Awliya Be With Me.



Unki Mahek Ne Dil Kay Ghunchey Khila Diye Hain Lyrics with English Translation

Unki Mahek Ne Dil Kay Ghunchey Khila Diye Hain,
Jis Raah Chal Diye Hain, Koochey Basa Diye Hain.
His Fragrance Has Caused the Buds of My Heart to Blossom,
Whichever Road He Has Travelled, He Has Brought it to Life!

Ik Dil Hamara Kya Hai, Aazaar Uska Kitna,
Tum Ne to Chaltey Phirtey, Murdey Jila Diye Hain.
What is My Heart Alone?–however Much its Harm
You Have Brought Back to Life the Living Dead!

Unkay Nisar Koi, Kaisey Hi Runj Mein Ho,
Jab Yaad Aa Gaye Hain, Sab Gham Bhula Diye Hain.
May I Die for Him! However Much Sorrow Someone is in,
When He is Remembered, All One’s Sorrows Are Forgotten!

Asra Mein Guzrey Jis Dam Berey Pe Qudsiyon Ke,
Hone Lagi Salaami, Parchum Jhuka Diye Hain.
During the Ascension When He Passed the Angelic Hosts,
They Began to Salute Him and Lowered Their Flags!

Jab Aa Gayin Hai Josh E Rehmat Pe Unki Ankhen,
Jalte Bujha Diye Hain, Rote Hansa Diye Hain.
When His Eyes Have Surged Forth, Ocean-like, with Mercy,
They Have Extinguished Those on Fire, Brought Smiles to Those in Tears.

Mere Karim Se Gar Qatra Kisi Ne Maanga,
Dariya Baha Diye Hain, Durbe Baha Diye Hain.
If Someone Has Asked A Mere Drop From My Gracious Master,
He Has Given Him Rivers in Return, Whole Oceans Instead!

Allah Re Kya Jahannam Ab Bhi Na Sard Hoga,
Ro, Ro Ke Mustafa Ne, Dariya Baha Diye Hain.
Allah! Have the Fires of Gehenna Still Not Frozen Over?
Beloved Mustafa Has Wept Oceans of Tears!

Mulk E Sukhn Ki Shahi Tum Ko Raza Musallam,
Jis Simt Aa Gaye Hain, Sikke Bitha Diye Hain.
Congratulations on Being Crowned King of Verse, Raza!
Wherever You Have Gone, Coins Have Been Struck in Your Name!

—————————————————————————

Hum Se Faqir Bhi Ab Pheri Ko Uthte Hongey,
Ab to Ghani Ke Dar Par, Bistar Jama Diye Hain.
Now Even Mendicants Hope to Obtain Something From Us,
Since We Have Lain Our Matresses At the Door of That Generous One!

Aaney Do Ya Dubo Do Ab to Tumhari Janib,
Kashti Tum Hi Pe Chori, Langar Utha Diye Hain.
Whether You Let Me Cross Or Not, it is Now Up to Your Pleasure,
I Have Left My Ship in Your Hands, Have Lifted the Anchor!

Dulha Se Itna Kehdo Pyarey Sawari Roko,
Mushkil Mein Hain Baraati, Purkhar Laa Diye Hain.
Say this Much to the Bridegroom: Beloved, Halt Your Steed Awhile,
the Wedding Guests Are in Difficulty–their Way Strewn with Thorns!